gir gai chilman agar tauba zaroor | गिर गई चिलमन अगर तौबा ज़रूर

  - Ahsan Lakhnavi

gir gai chilman agar tauba zaroor
aap ki qaateel nazar tauba zaroor

dekh kar aisi tajalli noor ki
kaisa sharmaaya qamar tauba zaroor

itni wusa'at mein samaa saka nahin
aap ka dil mera ghar tauba zaroor

bas khala hi mein qila takhleeq ka
ret ke daldal main ghar tauba zaroor

aap ki ulfat mein sehra mein phiroon
khwaab bhi dekhen agar tauba zaroor

tod kar dil ab ye kehna aap ka
jo hua ab gham na kar tauba zaroor

be-par-e-parwaaz udna aap ka
jhooth seena taan kar tauba zaroor

cheel ka ho ghonsla aur gosht ka
muflison ke paas zar tauba zaroor

har taraf faaqa-kashi hai bhook hai
mulk mein ifraat-e-zar tauba zaroor

गिर गई चिलमन अगर तौबा ज़रूर
आप की क़ातिल नज़र तौबा ज़रूर

देख कर ऐसी तजल्ली नूर की
कैसा शरमाया क़मर तौबा ज़रूर

इतनी वुसअ'त में समा सकता नहीं
आप का दिल मेरा घर तौबा ज़रूर

बस ख़ला ही में क़िला तख़्लीक़ का
रेत के दलदल मैं घर तौबा ज़रूर

आप कि उल्फ़त में सहरा में फिरूँ
ख़्वाब भी देखें अगर तौबा ज़रूर

तोड़ कर दिल अब ये कहना आप का
जो हुआ अब ग़म न कर तौबा ज़रूर

बे-पर-ए-पर्वाज़ उड़ना आप का
झूट सीना तान कर तौबा ज़रूर

चील का हो घोंसला और गोश्त का
मुफ़लिसों के पास ज़र तौबा ज़रूर

हर तरफ़ फ़ाक़ा-कशी है भूक है
मुल्क में इफ़रात-ए-ज़र तौबा ज़रूर

  - Ahsan Lakhnavi

Dhokha Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahsan Lakhnavi

As you were reading Shayari by Ahsan Lakhnavi

Similar Writers

our suggestion based on Ahsan Lakhnavi

Similar Moods

As you were reading Dhokha Shayari Shayari