ilaaj-e-hasrat-e-dil-geer kar raha hoon main
muqaddaraat ki ta'aamir kar raha hoon main
tasavvuraat ki kirchen samet kar ek ik
burida khwaab ki tafseer kar raha hoon main
ki goodh kar mah-e-taabaaan ki zau-fishaan kirnen
ilaaj-e-zulmat-e-be-peer kar raha hoon main
jaga ke fahm ki lau zehan ke dareechon mein
naye nizaam ko tahreer kar raha hoon main
ye azm hai ki badal doon main bakht ka chehra
b-sad khuloos ye tadbeer kar raha hoon main
haseen raat kiran chaand ki hina ki mahak
mila ke ab teri tasveer kar raha hoon main
इलाज-ए-हसरत-ए-दिल-गीर कर रहा हूँ मैं
मुक़द्दरात की ता'मीर कर रहा हूँ मैं
तसव्वुरात की किर्चें समेट कर एक इक
बुरीदा ख़्वाब की तफ़्सीर कर रहा हूँ मैं
कि गूँध कर मह-ए-ताबाँ की ज़ौ-फ़िशाँ किरनें
इलाज-ए-ज़ुल्मत-ए-बे-पीर कर रहा हूँ मैं
जगा के फ़हम की लौ ज़ेहन के दरीचों में
नए निज़ाम को तहरीर कर रहा हूँ मैं
ये अज़्म है कि बदल दूँ मैं बख़्त का चेहरा
ब-सद ख़ुलूस ये तदबीर कर रहा हूँ मैं
हसीन रात किरन चाँद की हिना की महक
मिला के अब तेरी तस्वीर कर रहा हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahsan Lakhnavi
our suggestion based on Ahsan Lakhnavi
As you were reading Fantasy Shayari Shayari