jo jo shoor-e-zehan pe aata chala gaya | जो जो शुऊर-ए-ज़ेहन पे आता चला गया

  - Ahsan Lakhnavi

jo jo shoor-e-zehan pe aata chala gaya
dil kulfaton ke daagh mitaata chala gaya

la kar bahaar-e-nau ke gul-e-nudrat-e-khyaal
sehra ko main chaman sa banata chala gaya

allah ka ye fazl hai mujh pe ki bahr-e-ilm
kooze se mere dil mein samaata chala gaya

alfaaz ke guhar se ghazal ki zameen ko main
jaise falak-nazaad banta chala gaya

taar-e-nafs pe chhed ke ik naghma-e-hayaat
main aagahi ke saaz pe gaata chala gaya

ulfat ki raah kar ke zamaane pe aashkaar
ahsan main khaar-e-raah hataata chala gaya

जो जो शुऊर-ए-ज़ेहन पे आता चला गया
दिल कुल्फ़तों के दाग़ मिटाता चला गया

ला कर बहार-ए-नौ के गुल-ए-नुदरत-ए-ख़याल
सहरा को मैं चमन सा बनाता चला गया

अल्लाह का ये फ़ज़्ल है मुझ पे कि बहर-ए-इल्म
कूज़े से मेरे दिल में समाता चला गया

अल्फ़ाज़ के गुहर से ग़ज़ल की ज़मीं को मैं
जैसे फ़लक-नज़ाद बनता चला गया

तार-ए-नफ़स पे छेड़ के इक नग़्मा-ए-हयात
मैं आगही के साज़ पे गाता चला गया

उल्फ़त की राह कर के ज़माने पे आश्कार
'अहसन' मैं ख़ार-ए-राह हटाता चला गया

  - Ahsan Lakhnavi

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahsan Lakhnavi

As you were reading Shayari by Ahsan Lakhnavi

Similar Writers

our suggestion based on Ahsan Lakhnavi

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari