mujh mein kuch phool kya khile tere | मुझ में कुछ फूल क्या खिले तेरे - ain naqvi

mujh mein kuch phool kya khile tere
log naaraz ho gaye mujh se

phir bataate ki kaise chalna hai
do qadam pehle saath to chalte

ye khulasa hai ek chapter ka
tum kahaani mein der se aaye

is liye main ne fasla rakha
sab manaazir hain door se achhe

jaan-leva hai ye adhoora pan
aa gaye the to theek se aate

khud ko beemaar kar diya mashhoor
taaki vo mujh se raabta kar le

ho ke mabahoot ho gaye tasveer
teri tasveer dekhne waale

मुझ में कुछ फूल क्या खिले तेरे
लोग नाराज़ हो गए मुझ से

फिर बताते कि कैसे चलना है
दो क़दम पहले साथ तो चलते

ये ख़ुलासा है एक चैप्टर का
तुम कहानी में देर से आए

इस लिए मैं ने फ़ासला रक्खा
सब मनाज़िर हैं दूर से अच्छे

जान-लेवा है ये अधूरा पन
आ गए थे तो ठीक से आते

ख़ुद को बीमार कर दिया मशहूर
ताकि वो मुझ से राब्ता कर ले

हो के मबहूत हो गए तस्वीर
तेरी तस्वीर देखने वाले

- ain naqvi
0 Likes

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by ain naqvi

As you were reading Shayari by ain naqvi

Similar Writers

our suggestion based on ain naqvi

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari