may-khaane par kaale baadal jab ghir ghir kar aate hain | मय-ख़ाने पर काले बादल जब घिर घिर कर आते हैं - Ajiz Matvi

may-khaane par kaale baadal jab ghir ghir kar aate hain
hum bhi aankhon ke paimaane bhar bhar kar chhalakaate hain

main jin ko apna kehta hoon kab vo mere kaam aate hain
ye saara sansaar hai sapna sab jhoote rishte-naate hain

tanhaai ke bojhal lamhe hum is tarah bitaate hain
dil hum ko deta hai tasalli hum dil ko samjhaate hain

jeevan ki gutthi ka suljhna kaam hai ik naa-mumkin sa
girhen padti hi jaati hain hum jitna suljhaate hain

un ki qismat mein jalna hai kaun un se kehta hai jalen
parwaane deepak par aa kar apne-aap jal jaate hain

jeevan beeta lekin ab tak main na samajh paaya ye bhed
beete dinon ki yaad aate hi aansu kyun bhar aate hain

vo jab apna sar dhakte hain khul jaate hain un ke pair
jo apni chadar se ziyaada pair apne failaate hain

hota hai mehsoos ye aajiz shaayad us ne dastak di
tez hawa ke jhonke jab darwaaze se takraate hain

मय-ख़ाने पर काले बादल जब घिर घिर कर आते हैं
हम भी आँखों के पैमाने भर भर कर छलकाते हैं

मैं जिन को अपना कहता हूँ कब वो मिरे काम आते हैं
ये सारा संसार है सपना सब झूटे रिश्ते-नाते हैं

तन्हाई के बोझल लम्हे हम इस तरह बिताते हैं
दिल हम को देता है तसल्ली हम दिल को समझाते हैं

जीवन की गुत्थी का सुलझना काम है इक ना-मुम्किन सा
गिर्हें पड़ती ही जाती हैं हम जितना सुलझाते हैं

उन की क़िस्मत में जलना है कौन उन से कहता है जलें
परवाने दीपक पर आ कर अपने-आप जल जाते हैं

जीवन बीता लेकिन अब तक मैं न समझ पाया ये भेद
बीते दिनों की याद आते ही आँसू क्यूँ भर आते हैं

वो जब अपना सर ढकते हैं खुल जाते हैं उन के पैर
जो अपनी चादर से ज़ियादा पैर अपने फैलाते हैं

होता है महसूस ये 'आजिज़' शायद उस ने दस्तक दी
तेज़ हवा के झोंके जब दरवाज़े से टकराते हैं

- Ajiz Matvi
0 Likes

Promise Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajiz Matvi

As you were reading Shayari by Ajiz Matvi

Similar Writers

our suggestion based on Ajiz Matvi

Similar Moods

As you were reading Promise Shayari Shayari