yun tujh se door door rahoon ye saza na de | यूँ तुझ से दूर दूर रहूँ ये सज़ा न दे - Ajiz Matvi

yun tujh se door door rahoon ye saza na de
ab aur zinda rahne ki mujh ko dua na de

ab ehtiyaat-e-shiddat-e-giryaa na poochiye
darta hoon main vo sun ke kahi muskuraa na de

lo main ne dil ki us se lagaaee to hai magar
dar hai ye sham-e-gham kahi daaman jala na de

kehna to hai mujhe bhi hadees-e-gham-e-hayaat
lab kholne ki kaash ijaazat zamaana de

ho bijliyon ka mujh se jahaan par muqaabla
ya-rab wahin chaman mein mujhe aashiyana de

us dene waale ke yahan kis shay ki hai kami
tum maangne ki tarah jo maango to kya na de

hassaas main bahut hoon na lag jaaye dil ko thes
mehfil mein muskuraa ke mujhe yun sada na de

main aashnaa-e-dard-o-gham-e-dil hoon chaara-gar
jis se ifaqa ho mujhe aisi dava na de

aajiz tamaam umr main khaata raha fareb
mujh ko meri wafaon ka aisa sila na de

यूँ तुझ से दूर दूर रहूँ ये सज़ा न दे
अब और ज़िंदा रहने की मुझ को दुआ न दे

अब एहतियात-ए-शिद्दत-ए-गिर्या न पूछिए
डरता हूँ मैं वो सुन के कहीं मुस्कुरा न दे

लो मैं ने दिल की उस से लगाई तो है मगर
डर है ये शम-ए-ग़म कहीं दामन जला न दे

कहना तो है मुझे भी हदीस-ए-ग़म-ए-हयात
लब खोलने की काश इजाज़त ज़माना दे

हो बिजलियों का मुझ से जहाँ पर मुक़ाबला
या-रब वहीं चमन में मुझे आशियाना दे

उस देने वाले के यहाँ किस शय की है कमी
तुम माँगने की तरह जो माँगो तो क्या न दे

हस्सास मैं बहुत हूँ न लग जाए दिल को ठेस
महफ़िल में मुस्कुरा के मुझे यूँ सदा न दे

मैं आश्ना-ए-दर्द-ओ-ग़म-ए-दिल हूँ चारा-गर
जिस से इफ़ाक़ा हो मुझे ऐसी दवा न दे

'आजिज़' तमाम उम्र मैं खाता रहा फ़रेब
मुझ को मिरी वफ़ाओं का ऐसा सिला न दे

- Ajiz Matvi
1 Like

Anjam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajiz Matvi

As you were reading Shayari by Ajiz Matvi

Similar Writers

our suggestion based on Ajiz Matvi

Similar Moods

As you were reading Anjam Shayari Shayari