ik baar apna zarf-e-nazar dekh leejie | इक बार अपना ज़र्फ़-ए-नज़र देख लीजिए - Ajiz Matvi

ik baar apna zarf-e-nazar dekh leejie
phir chahe jis ke aib-o-hunar dekh leejie

kya jaane kis maqaam pe kis shay ki ho talab
chalne se pehle zaad-e-safar dekh leejie

ho jaayega khud aap ko ehsaas be-rukhi
gar aap mera zakham-e-jigar dekh leejie

sab ki taraf hai aap ki chashm-e-nawaazishaat
kaash ek baar aap idhar dekh leejie

taare main tod laaunga aakaash se magar
shafqat se aap baazoo-o-par dekh leejie

jamhooriyat ka dars agar chahte hain aap
koi bhi saaya-daar shajar dekh leejie

ho jaayegi haqeeqat-e-shams-o-qamar ayaan
un ko nigaah bhar ke agar dekh leejie

ye barq-e-haadisaat bhi kya zulm dhaayegi
uthne lage gulon se sharar dekh leejie

aajiz chali hain aisi ta'assub ki aandhiyaan
ujde hue nagar ke nagar dekh leejie

इक बार अपना ज़र्फ़-ए-नज़र देख लीजिए
फिर चाहे जिस के ऐब-ओ-हुनर देख लीजिए

क्या जाने किस मक़ाम पे किस शय की हो तलब
चलने से पहले ज़ाद-ए-सफ़र देख लीजिए

हो जाएगा ख़ुद आप को एहसास बे-रुख़ी
गर आप मेरा ज़ख़्म-ए-जिगर देख लीजिए

सब की तरफ़ है आप की चश्म-ए-नवाज़िशात
काश एक बार आप इधर देख लीजिए

तारे मैं तोड़ लाऊँगा आकाश से मगर
शफ़क़त से आप बाज़ू-ओ-पर देख लीजिए

जम्हूरियत का दर्स अगर चाहते हैं आप
कोई भी साया-दार शजर देख लीजिए

हो जाएगी हक़ीक़त-ए-शम्स-ओ-क़मर अयाँ
उन को निगाह भर के अगर देख लीजिए

ये बर्क़-ए-हादिसात भी क्या ज़ुल्म ढाएगी
उठने लगे गुलों से शरर देख लीजिए

'आजिज़' चली हैं ऐसी तअ'स्सुब की आँधियाँ
उजड़े हुए नगर के नगर देख लीजिए

- Ajiz Matvi
1 Like

Zulm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajiz Matvi

As you were reading Shayari by Ajiz Matvi

Similar Writers

our suggestion based on Ajiz Matvi

Similar Moods

As you were reading Zulm Shayari Shayari