kuch saazgaar jab mere haalaat bhi nahin | कुछ साज़गार जब मिरे हालात भी नहीं - Ajiz Matvi

kuch saazgaar jab mere haalaat bhi nahin
aise mein mere sar pe tira baat bhi nahin

mushtaaq-e-deed bhi nahin ye tarafaa baat hai
dil mein khayal-e-tark-e-mulaqaat bhi nahin

kehta nahin main aap ko begaana-khoo magar
pehle si mujh pe lutf-o-inaayat bhi nahin

mujh ko banaya mamlakat-e-gham ka taajdaar
aur mere lab pe shukr ke kalamaat bhi nahin

kis se karoon ummeed main haajat-ravaai ki
juz tere koi qibla-e-haajaat bhi nahin

saaqi ne bhi mujhe nazar-andaaz kar diya
mujh par nigah-e-meer-e-kharaabaat bhi nahin

aajiz hoon khat likhoon to unhen kis tarah likhoon
kaaghaz nahin qalam nahin daawat bhi nahin

कुछ साज़गार जब मिरे हालात भी नहीं
ऐसे में मेरे सर पे तिरा बात भी नहीं

मुश्ताक़-ए-दीद भी नहीं ये तरफ़ा बात है
दिल में ख़याल-ए-तर्क-ए-मुलाक़ात भी नहीं

कहता नहीं मैं आप को बेगाना-ख़ू मगर
पहले सी मुझ पे लुत्फ़-ओ-इनायात भी नहीं

मुझ को बनाया मुम्लिकत-ए-ग़म का ताजदार
और मेरे लब पे शुक्र के कलमात भी नहीं

किस से करूँ उम्मीद मैं हाजत-रवाई की
जुज़ तेरे कोई क़िबला-ए-हाजात भी नहीं

साक़ी ने भी मुझे नज़र-अंदाज़ कर दिया
मुझ पर निगाह-ए-मीर-ए-ख़राबात भी नहीं

'आजिज़' हूँ ख़त लिखूँ तो उन्हें किस तरह लिखूँ
काग़ज़ नहीं क़लम नहीं दावात भी नहीं

- Ajiz Matvi
0 Likes

Khat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajiz Matvi

As you were reading Shayari by Ajiz Matvi

Similar Writers

our suggestion based on Ajiz Matvi

Similar Moods

As you were reading Khat Shayari Shayari