bahaaron se khizaan tak yoonhi sair-e-gulistaan kar ke | बहारों से ख़िज़ाँ तक यूँही सैर-ए-गुलिस्ताँ कर के - Ajiz Matvi

bahaaron se khizaan tak yoonhi sair-e-gulistaan kar ke
rafu karte rahe hum jeb-o-daaman dhajjiyaan kar ke

milega kya tujhe sayyaad mujh ko be-zabaan kar ke
sukoon-e-qalb milta hai mujhe aah-o-fughaan kar ke

chaman ko raushni di nazr-e-aatish aashiyaan kar ke
kiya ye tajurba hum ne ghar apna raayegaan kar ke

haqeeqat mein karam tum ne kiya hai haq-shanaason par
har ik ko waakif-e-rasm-e-jabeen-o-aastaan kar ke

utha paaye na hum lutf-e-bahaaran mausam-e-gul mein
kahaan gum ho gai parwaaz qaid-e-aashiyaan kar ke

ab aisi zindagi se maut aa jaati to behtar tha
hui tazheek apni dastaan-e-dil bayaan kar ke

agar tafseel se kehta to vo shaayad samajh jaate
main ab pachta raha hoon ikhtisaar-e-daastaan kar ke

bhatkte rahte yoonhi aur na paate umr-bhar manzil
bada ehsaan kiya tum ne shareek-e-kaarvaan kar ke

samajh mein aa gai un ki khas-o-khaashaak ki azmat
gai hain bijliyaan aakhir tawaaf-e-aashiyaan kar ke

zahe mask-e-tasavvur hum unhen dekha hi karte hain
chupen chahe jahaan vo pardaa-ha-e-darmiyaan kar ke

samundar phir hilore lega tahzeeb-o-tamaddun ka
zara dekho to aajiz shaamil-e-urdu-zabaan kar ke

बहारों से ख़िज़ाँ तक यूँही सैर-ए-गुलिस्ताँ कर के
रफ़ू करते रहे हम जेब-ओ-दामाँ धज्जियाँ कर के

मिलेगा क्या तुझे सय्याद मुझ को बे-ज़बाँ कर के
सुकून-ए-क़ल्ब मिलता है मुझे आह-ओ-फ़ुग़ाँ कर के

चमन को रौशनी दी नज़्र-ए-आतिश आशियाँ कर के
किया ये तजरबा हम ने घर अपना राएगाँ कर के

हक़ीक़त में करम तुम ने किया है हक़-शनासों पर
हर इक को वाक़िफ़-ए-रस्म-ए-जबीन-ओ-आस्ताँ कर के

उठा पाए न हम लुत्फ़-ए-बहाराँ मौसम-ए-गुल में
कहाँ गुम हो गई पर्वाज़ क़ैद-ए-आशियाँ कर के

अब ऐसी ज़िंदगी से मौत आ जाती तो बेहतर था
हुई तज़हीक अपनी दास्तान-ए-दिल बयाँ कर के

अगर तफ़्सील से कहता तो वो शायद समझ जाते
मैं अब पछता रहा हूँ इख़्तिसार-ए-दास्ताँ कर के

भटकते रहते यूँही और न पाते उम्र-भर मंज़िल
बड़ा एहसाँ किया तुम ने शरीक-ए-कारवाँ कर के

समझ में आ गई उन की ख़स-ओ-ख़ाशाक की अज़्मत
गई हैं बिजलियाँ आख़िर तवाफ़-ए-आशियाँ कर के

ज़हे मश्क़-ए-तसव्वुर हम उन्हें देखा ही करते हैं
छुपें चाहे जहाँ वो पर्दा-हा-ए-दरमियाँ कर के

समुंदर फिर हिलोरे लेगा तहज़ीब-ओ-तमद्दुन का
ज़रा देखो तो 'आजिज़' शामिल-ए-उर्दू-ज़बाँ कर के

- Ajiz Matvi
0 Likes

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajiz Matvi

As you were reading Shayari by Ajiz Matvi

Similar Writers

our suggestion based on Ajiz Matvi

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari