hangaama kyun bapaa hai zara baam par se dekh
shole buland hote hain ye kis ke ghar se dekh
bikhren na ye zameen pe kahi chashm-e-tar se dekh
palkon tak aa gaye hain jo chal kar jigar se dekh
ai dost pairvi-e-kaleemaana hai abas
jalvo ko us ke tu nigaha-e-mo'tabar se dekh
yun sar utha ke dekh na tu jaanib-e-falak
ye taaj-e-tamkanat na gire tere sar se dekh
is tarah hai ghamon ko mere dil se rasm-o-raah
jis tarah rabt rakhte hain saaye shajar ke dekh
apni nazar se dekh tahee-dasti-e-sadaf
dariya ka zarf kya hai ye chashm-e-guhar se dekh
insaan haadsaat se kitna qareeb hai
tu bhi zara nikal ke kabhi apne ghar se dekh
aajiz ye qaul apne buzurgon ka yaad rakh
rasta kabhi na chhodna dushman ke dar se dekh
हंगामा क्यूँ बपा है ज़रा बाम पर से देख
शोले बुलंद होते हैं ये किस के घर से देख
बिखरें न ये ज़मीं पे कहीं चश्म-ए-तर से देख
पलकों तक आ गए हैं जो चल कर जिगर से देख
ऐ दोस्त पैरवी-ए-कलीमाना है अबस
जल्वों को उस के तू निगहा-ए-मो'तबर से देख
यूँ सर उठा के देख न तू जानिब-ए-फ़लक
ये ताज-ए-तमकनत न गिरे तेरे सर से देख
इस तरह है ग़मों को मिरे दिल से रस्म-ओ-राह
जिस तरह रब्त रखते हैं साए शजर के देख
अपनी नज़र से देख तही-दस्ती-ए-सदफ़
दरिया का ज़र्फ़ क्या है ये चश्म-ए-गुहर से देख
इंसान हादसात से कितना क़रीब है
तू भी ज़रा निकल के कभी अपने घर से देख
'आजिज़' ये क़ौल अपने बुज़ुर्गों का याद रख
रस्ता कभी न छोड़ना दुश्मन के डर से देख
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ajiz Matvi
our suggestion based on Ajiz Matvi
As you were reading Miscellaneous Shayari