main iztiraab mein hoon shaam se sehar ke liye | मैं इज़्तिराब में हूँ शाम से सहर के लिए - Ajiz Matvi

main iztiraab mein hoon shaam se sehar ke liye
koi charaagh ata kar de raat-bhar ke liye

khuda bachaaye tumhein aisi-vaisi nazaron se
gale mein daal lo ta'aweez tum nazar ke liye

qafas-naseeb hain na-aashna-e-aazaadi
ye qaid ek chunauti hai baal-o-par ke liye

nigah-e-bark mein vo khaar se khatkane lage
jo tinke jam'a kiye hum ne apne ghar ke liye

masiha-e-waqt to aisi nafs sahi lekin
ilaaj hai koi zakhm-e-dil-o-jigar ke liye

tumhaare husn-o-ada ke humeen shikaar nahin
na jaane kitnon ke dil tum ne ban-sanwar ke liye

tamaam-umr andhere mein kat gai yaarab
koi charaagh ata kar hamaare ghar ke liye

kisi ke saamne sar kham karoon main kyun aajiz
bani hai meri jabeen un ke sang-e-dar ke liye

मैं इज़्तिराब में हूँ शाम से सहर के लिए
कोई चराग़ अता कर दे रात-भर के लिए

ख़ुदा बचाए तुम्हें ऐसी-वैसी नज़रों से
गले में डाल लो ता'वीज़ तुम नज़र के लिए

क़फ़स-नसीब हैं ना-आश्ना-ए-आज़ादी
ये क़ैद एक चुनौती है बाल-ओ-पर के लिए

निगाह-ए-बर्क़ में वो ख़ार से खटकने लगे
जो तिनके जम्अ' किए हम ने अपने घर के लिए

मसीह-ए-वक़्त तो ऐसी नफ़स सही लेकिन
इलाज है कोई ज़ख़्म-ए-दिल-ओ-जिगर के लिए

तुम्हारे हुस्न-ओ-अदा के हमीं शिकार नहीं
न जाने कितनों के दिल तुम ने बन-सँवर के लिए

तमाम-उम्र अँधेरे में कट गई यारब
कोई चराग़ अता कर हमारे घर के लिए

किसी के सामने सर ख़म करूँ मैं क्यूँ 'आजिज़'
बनी है मेरी जबीं उन के संग-ए-दर के लिए

- Ajiz Matvi
0 Likes

Crime Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajiz Matvi

As you were reading Shayari by Ajiz Matvi

Similar Writers

our suggestion based on Ajiz Matvi

Similar Moods

As you were reading Crime Shayari Shayari