dard-e-musalsal se aahon mein paida vo taaseer hui | दर्द-ए-मुसलसल से आहों में पैदा वो तासीर हुई - Ajiz Matvi

dard-e-musalsal se aahon mein paida vo taaseer hui
akshar charagaron ki haalat mujh se siva gambheer hui

kya jaane kyun mujh se meri bargashta taqdeer hui
mamlikat-e-aish aankh jhapakte hi gham ki jaageer hui

us ne mere sheesha-e-dil ko dekh ke kyun munh mod liya
shaayad is aaine mein us ko zaahir koi lakeer hui

jab bhi likkha haal-e-dil-e-muztar main ne us ko raat gaye
ta-b-sehr ashk-afshaani se zaayein vo tahreer hui

badhti jaati hai doori-e-manzil jab se junoon ne chhodaa saath
ab to khird har gaam par apne pairo'n ki zanjeer hui

mujh ko ata karte vo yaqeenan meri talab se siva lekin
khuddaari mein haath na faila sharm jo daman-geer hui

kis ko khabar hai un ki gali mein kitne dilon ka khoon hua
raanaai mein un ki gali jab vaadi-e-kashmir hui

un se karoon izhaar-e-tamannaa socha rakh kar uzr-e-junoon
lekin vo bhi raas na aaya la-haasil tadbeer hui

tap-tap aankh se aansu tapke aajiz aah-e-sard ke saath
mere saamne nazr-e-aatish jab meri tasveer hui

दर्द-ए-मुसलसल से आहों में पैदा वो तासीर हुई
अक्सर चारागरों की हालत मुझ से सिवा गम्भीर हुई

क्या जाने क्यूँ मुझ से मेरी बरगश्ता तक़दीर हुई
मम्लिकत-ए-ऐश आँख झपकते ही ग़म की जागीर हुई

उस ने मेरे शीशा-ए-दिल को देख के क्यूँ मुँह मोड़ लिया
शायद इस आईने में उस को ज़ाहिर कोई लकीर हुई

जब भी लिक्खा हाल-ए-दिल-ए-मुज़्तर मैं ने उस को रात गए
ता-ब-सहर अश्क-अफ़्शानी से ज़ाएअ' वो तहरीर हुई

बढ़ती जाती है दूरी-ए-मंज़िल जब से जुनूँ ने छोड़ा साथ
अब तो ख़िरद हर गाम पर अपने पैरों की ज़ंजीर हुई

मुझ को अता करते वो यक़ीनन मेरी तलब से सिवा लेकिन
ख़ुद्दारी में हाथ न फैला शर्म जो दामन-गीर हुई

किस को ख़बर है उन की गली में कितने दिलों का ख़ून हुआ
रानाई में उन की गली जब वादी-ए-कश्मीर हुई

उन से करूँ इज़्हार-ए-तमन्ना सोचा रख कर उज़्र-ए-जुनूँ
लेकिन वो भी रास न आया ला-हासिल तदबीर हुई

टप-टप आँख से आँसू टपके 'आजिज़' आह-ए-सर्द के साथ
मेरे सामने नज़्र-ए-आतिश जब मेरी तस्वीर हुई

- Ajiz Matvi
1 Like

Freedom Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajiz Matvi

As you were reading Shayari by Ajiz Matvi

Similar Writers

our suggestion based on Ajiz Matvi

Similar Moods

As you were reading Freedom Shayari Shayari