jahaan na dil ko sukoon hai na hai qaraar mujhe | जहाँ न दिल को सुकून है न है क़रार मुझे - Ajiz Matvi

jahaan na dil ko sukoon hai na hai qaraar mujhe
ye kis maqaam pe le aayi yaad-e-yaar mujhe

ye baat sach hai main barg-e-khizaan-raseeda hoon
magar salaam kiya karti hai bahaar mujhe

sitam ye hai vo kabhi bhool kar nahin aaya
tamaam umr raha jis ka intizaar mujhe

bas apne-aap sanwarna bhi koi baat hui
tu apni zulf ki soorat kabhi sanwaar mujhe

abas hai dosto tashreeh-e-wadaa-e-fardaa
ab is ka zikr bhi hota hai naagawaar mujhe

tamaam umr jhulsata raha main sehra mein
kahi shajar nazar aaya na saaya-daar mujhe

bahaar-e-nau ye haqeeqat hai ya fareb-e-nigaah
libaas-e-gul nazar aata hai taar taar mujhe

gunaah jis se na sarzad hua ho ai aajiz
usi ko haq hai vo kah de gunaahgaar mujhe

जहाँ न दिल को सुकून है न है क़रार मुझे
ये किस मक़ाम पे ले आई याद-ए-यार मुझे

ये बात सच है मैं बर्ग-ए-ख़िज़ाँ-रसीदा हूँ
मगर सलाम किया करती है बहार मुझे

सितम ये है वो कभी भूल कर नहीं आया
तमाम उम्र रहा जिस का इंतिज़ार मुझे

बस अपने-आप सँवरना भी कोई बात हुई
तू अपनी ज़ुल्फ़ की सूरत कभी सँवार मुझे

अबस है दोस्तो तशरीह-ए-वादा-ए-फ़र्दा
अब इस का ज़िक्र भी होता है नागवार मुझे

तमाम उम्र झुलसता रहा मैं सहरा में
कहीं शजर नज़र आया न साया-दार मुझे

बहार-ए-नौ ये हक़ीक़त है या फ़रेब-ए-निगाह
लिबास-ए-गुल नज़र आता है तार तार मुझे

गुनाह जिस से न सरज़द हुआ हो ऐ 'आजिज़'
उसी को हक़ है वो कह दे गुनाहगार मुझे

- Ajiz Matvi
0 Likes

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajiz Matvi

As you were reading Shayari by Ajiz Matvi

Similar Writers

our suggestion based on Ajiz Matvi

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari