meri nazaron mein ata ki hai tiri soorat mujhe
mil gai hai do-jahaan ke husn ki moorat mujhe
tere rukh ki raushni ne mujh pe vo chhidka hai noor
vasl hi ab vasl lagti hai tiri furqat mujhe
koi aisi kaifiyat ko naam kuchh deta phire
aalam-e-ulfat ne bakshi hai nayi azmat mujhe
koi kehta hai mohabbat se hai tauheen-e-hayaat
us ke dam se hai inaayat kis qadar izzat mujhe
muskuraa kar us se akshar door ho jaata hoon main
ta-qayamat dhoondhti rah jaayegi shohrat mujhe
मेरी नज़रों में अता की है तिरी सूरत मुझे
मिल गई है दो-जहाँ के हुस्न की मूरत मुझे
तेरे रुख़ की रौशनी ने मुझ पे वो छिड़का है नूर
वस्ल ही अब वस्ल लगती है तिरी फ़ुर्क़त मुझे
कोई ऐसी कैफ़ियत को नाम कुछ देता फिरे
आलम-ए-उल्फ़त ने बख़्शी है नई अज़्मत मुझे
कोई कहता है मोहब्बत से है तौहीन-ए-हयात
उस के दम से है इनायत किस क़दर इज़्ज़त मुझे
मुस्कुरा कर उस से अक्सर दूर हो जाता हूँ मैं
ता-क़यामत ढूँढती रह जाएगी शोहरत मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhgar shahani
our suggestion based on Akhgar shahani
As you were reading Raushni Shayari Shayari