justuju ne tiri har chand thaka rakha hai | जुस्तुजू ने तिरी हर चंद थका रक्खा है - Akhlaque Bandvi

justuju ne tiri har chand thaka rakha hai
phir bhi kya gham ki isee mein to maza rakha hai

kuch to apni bhi tabi'at hai gurezaan un se
kuch mizaaj un ka bhi bar-dosh-e-hawaa rakha hai

kya tujhe ilm nahin teri raza ki khaatir
main ne kis kis ko zamaane mein khafa rakha hai

jab nazar utthi rukh-e-yaar pe ja kar thehri
jaise aankhon mein koi qibla-numaa rakha hai

kaun hoon kya hoon kahaan hoon mujhe maaloom nahin
zindagi tu ne ye kis mod pe la rakha hai

naam ka aks bhi aainaa-e-kirdaar mein rakh
naam akhlaaq sahi naam mein kya rakha hai

जुस्तुजू ने तिरी हर चंद थका रक्खा है
फिर भी क्या ग़म कि इसी में तो मज़ा रक्खा है

कुछ तो अपनी भी तबीअ'त है गुरेज़ाँ उन से
कुछ मिज़ाज उन का भी बर-दोश-ए-हवा रक्खा है

क्या तुझे इल्म नहीं तेरी रज़ा की ख़ातिर
मैं ने किस किस को ज़माने में ख़फ़ा रक्खा है

जब नज़र उट्ठी रुख़-ए-यार पे जा कर ठहरी
जैसे आँखों में कोई क़िबला-नुमा रक्खा है

कौन हूँ क्या हूँ कहाँ हूँ मुझे मालूम नहीं
ज़िंदगी तू ने ये किस मोड़ पे ला रक्खा है

नाम का अक्स भी आईना-ए-किरदार में रख
नाम 'अख़लाक़' सही नाम में क्या रक्खा है

- Akhlaque Bandvi
0 Likes

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhlaque Bandvi

As you were reading Shayari by Akhlaque Bandvi

Similar Writers

our suggestion based on Akhlaque Bandvi

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari