kaifiyat kya thi yahan aalam-e-gham se pehle | कैफ़ियत क्या थी यहाँ आलम-ए-ग़म से पहले - Akhtar Ansari Akbarabadi

kaifiyat kya thi yahan aalam-e-gham se pehle
kaun aaya tha tiri bazm mein hum se pehle

sab karam hai tire andaaz-e-sitam se ai dost
zauq-e-gham dil ko na tha tere sitam se pehle

bandagi teri khudaai se bahut hai aage
naqsh-e-sajda hai tire naqsh-e-qadam se pehle

qalb-e-insaan ko hai ab phir usi aalam ki talash
teri mehfil thi jahaan dair-o-haram se pehle

hum se mansoor zamaane mein kahaan hain akhtar
daar tak aa nahin saka koi hum se pehle

कैफ़ियत क्या थी यहाँ आलम-ए-ग़म से पहले
कौन आया था तिरी बज़्म में हम से पहले

सब करम है तिरे अंदाज़-ए-सितम से ऐ दोस्त
ज़ौक़-ए-ग़म दिल को न था तेरे सितम से पहले

बंदगी तेरी ख़ुदाई से बहुत है आगे
नक़्श-ए-सज्दा है तिरे नक़्श-ए-क़दम से पहले

क़ल्ब-ए-इंसाँ को है अब फिर उसी आलम की तलाश
तेरी महफ़िल थी जहाँ दैर-ओ-हरम से पहले

हम से मंसूर ज़माने में कहाँ हैं 'अख़्तर'
दार तक आ नहीं सकता कोई हम से पहले

- Akhtar Ansari Akbarabadi
0 Likes

Zakhm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari Akbarabadi

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari Akbarabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari Akbarabadi

Similar Moods

As you were reading Zakhm Shayari Shayari