mere ped ke saare patte sukhe hain
ik ik kar ke daali se sab toote hain
ro lete hain chhup kar saamne hanste hain
mere ghar mein saare kitne jhoote hain
sar pe chat na baap ka saaya aur shikam
is pe qahar ki apne ham se roothe hain
jaldi jism ki bhook mita lo ai sahab
ghar par mere saare bacche bhooke hain
khaali pet tha doodh pilaaya bacche ko
nanhe pet pe zabt ke daaman chhote hain
khoon-e-jigar se pyaas bujhaai logon ki
in aankhon se lahu ke chashme phoote hain
tera diya hi naam tire par nahin diya
jitne bade hain dil ke bade hi chhote hain
मेरे पेड़ के सारे पत्ते सूखे हैं
इक इक कर के डाली से सब टूटे हैं
रो लेते हैं छुप कर सामने हँसते हैं
मेरे घर में सारे कितने झूटे हैं
सर पे छत न बाप का साया और शिकम
इस पे क़हर कि अपने हम से रूठे हैं
जल्दी जिस्म की भूक मिटा लो ऐ साहब
घर पर मेरे सारे बच्चे भूके हैं
ख़ाली पेट था दूध पिलाया बच्चे को
नन्हे पेट पे ज़ब्त के दामन छोटे हैं
ख़ून-ए-जिगर से प्यास बुझाई लोगों की
इन आँखों से लहू के चश्मे फूटे हैं
तेरा दिया ही नाम तिरे पर नहीं दिया
जितने बड़े हैं दिल के बड़े ही छोटे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Raza Razi
our suggestion based on Ali Raza Razi
As you were reading Badan Shayari Shayari