bhala kashkol ke aage ye qaasa kaun karta hai | भला कश्कोल के आगे ये कासा कौन करता है - Ali Raza Razi

bhala kashkol ke aage ye qaasa kaun karta hai
ho dil apna to phir dooje ki aashaa kaun karta hai

yahan ham hain bhare baithe wahan un ko bhi gussa hai
chalo phir dekhte hain ab tamasha kaun karta hai

tumhaara pyaar hai na jo suno ratti barabar hai
ye khud hi dekh lo tole ko maasha kaun karta hai

suna hai dono hi ik doosre se pyaar karte hain
chalo phir dekhte hain be-tahaasha kaun karta hai

ye ham hi the jo sab kuchh bhool kar phir dil laga baithe
bhala socho tamaashe par tamasha kaun karta hai

kabhi aankhen kabhi gesu kabhi abroo banaate ho
razee tum jaante ho but tarasha kaun karta hai

भला कश्कोल के आगे ये कासा कौन करता है
हो दिल अपना तो फिर दूजे की आशा कौन करता है

यहाँ हम हैं भरे बैठे वहाँ उन को भी ग़ुस्सा है
चलो फिर देखते हैं अब तमाशा कौन करता है

तुम्हारा प्यार है न जो सुनो रत्ती बराबर है
ये ख़ुद ही देख लो तोले को माशा कौन करता है

सुना है दोनों ही इक दूसरे से प्यार करते हैं
चलो फिर देखते हैं बे-तहाशा कौन करता है

ये हम ही थे जो सब कुछ भूल कर फिर दिल लगा बैठे
भला सोचो तमाशे पर तमाशा कौन करता है

कभी आँखें कभी गेसू कभी अबरू बनाते हो
'रज़ी' तुम जानते हो बुत तराशा कौन करता है

- Ali Raza Razi
0 Likes

Bekhabri Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Raza Razi

As you were reading Shayari by Ali Raza Razi

Similar Writers

our suggestion based on Ali Raza Razi

Similar Moods

As you were reading Bekhabri Shayari Shayari