har ek zehan mein saara hisaab rehta hai
sawaal sunne se pehle jawaab rehta hai
vo ek mod jahaan ek din luta tha main
wahin mera dil-e-khaana-kharaab rehta hai
hawa ke dam pe hai jab zindagi ka daar-o-madaar
to kyun ghuroor tujhe ai habaab rehta hai
chalegi chaal koi gardish-e-falak shaayad
kai dinon se bada iztiraab rehta hai
vo jholi kaise bhare pyaar karne waalon ki
isee firaq mein toota shahaab rehta hai
mere liye hain museebat ye aaina-khaane
yahan zameer mera be-naqaab rehta hai
haseen khwaab hon kitne hi par koi khuddaar
tamaam umr kahaan mahv-e-khwaab rehta hai
हर एक ज़ेहन में सारा हिसाब रहता है
सवाल सुनने से पहले जवाब रहता है
वो एक मोड़ जहाँ एक दिन लुटा था मैं
वहीं मिरा दिल-ए-ख़ाना-ख़राब रहता है
हवा के दम पे है जब ज़िंदगी का दार-ओ-मदार
तो क्यूँ ग़ुरूर तुझे ऐ हबाब रहता है
चलेगी चाल कोई गर्दिश-ए-फ़लक शायद
कई दिनों से बड़ा इज़्तिराब रहता है
वो झोली कैसे भरे प्यार करने वालों की
इसी फ़िराक़ में टूटा शहाब रहता है
मिरे लिए हैं मुसीबत ये आइना-ख़ाने
यहाँ ज़मीर मिरा बे-नक़ाब रहता है
हसीन ख़्वाब हों कितने ही पर कोई 'आलोक'
तमाम उम्र कहाँ महव-ए-ख़्वाब रहता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alok Yadav
our suggestion based on Alok Yadav
As you were reading Environment Shayari Shayari