gumraah ho gaya rah-e-hamvaar dekh kar
chalna tha dil ko jaada-e-dushwaar dekh kar
jo sar jhuka tha sang-e-dar-e-yaar dekh kar
ooncha hua hai phir rasn-o-daar dekh kar
shoridagi-e-sar ko na tha koi mashghala
dil khush hua hai raah mein deewaar dekh kar
kya main kahoon ki haath se kyun jaam gir pada
sarshaar ho gaya tujhe sarshaar dekh kar
garche ye daur lafzon ki baazigari ka hai
karta hai waqt faisla kirdaar dekh kar
toofan-e-teergi tha bahut dahshat-aafreen
himmat badhi hai sham-e-rukh-e-yaar dekh kar
dil aur dimaagh dono mere hum-safar hain aaj
hairat na kijie meri raftaar dekh kar
shibli samand-e-shauq ko mahmej ik lagi
ghalib ki is zameen ko gul-kaar dekh kar
गुमराह हो गया रह-ए-हमवार देख कर
चलना था दिल को जादा-ए-दुश्वार देख कर
जो सर झुका था संग-ए-दर-ए-यार देख कर
ऊँचा हुआ है फिर रसन-ओ-दार देख कर
शोरीदगी-ए-सर को न था कोई मश्ग़ला
दिल ख़ुश हुआ है राह में दीवार देख कर
क्या मैं कहूँ कि हाथ से क्यूँ जाम गिर पड़ा
सरशार हो गया तुझे सरशार देख कर
गरचे ये दौर लफ़्ज़ों की बाज़ीगरी का है
करता है वक़्त फ़ैसला किरदार देख कर
तूफ़ान-ए-तीरगी था बहुत दहशत-आफ़रीं
हिम्मत बढ़ी है शम-ए-रुख़-ए-यार देख कर
दिल और दिमाग़ दोनों मेरे हम-सफ़र हैं आज
हैरत न कीजिए मेरी रफ़्तार देख कर
'शिबली' समंद-ए-शौक़ को महमेज़ इक लगी
'ग़ालिब' की इस ज़मीन को गुल-कार देख कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alqama Shibli
our suggestion based on Alqama Shibli
As you were reading Maikashi Shayari Shayari