mohabbat umr bhar ki raayegaan karna nahin achha | मोहब्बत उम्र भर की राएगाँ करना नहीं अच्छा

  - Ameeta Parsuram Meeta

mohabbat umr bhar ki raayegaan karna nahin achha
sambhal ai dil ana ko aasmaan karna nahin achha

kuchh aise raaz hote hain bayaan karna nahin achha
har ik chehre ki sacchaai ayaan karna nahin achha

kisi naakaam hasrat ki jo sulge aag seene mein
hawa yaadon ki mat dena dhyaan karna nahin achha

chaman mein hoon to phir main bhi chaman ka ek hissa hoon
taghaaful itna mere baagbaan karna nahin achha

hifazat se utaaro ashk-e-gham ko dil ki seepi mein
kisi qatre ko bahr-e-be-karan karna nahin achha

ujaale hi nahin hai teergi bhi zeest ka haasil
ki in tareekiyo ko be-zabaan karna nahin achha

मोहब्बत उम्र भर की राएगाँ करना नहीं अच्छा
सँभल ऐ दिल अना को आसमाँ करना नहीं अच्छा

कुछ ऐसे राज़ होते हैं बयाँ करना नहीं अच्छा
हर इक चेहरे की सच्चाई अयाँ करना नहीं अच्छा

किसी नाकाम हसरत की जो सुलगे आग सीने में
हवा यादों की मत देना ध्याँ करना नहीं अच्छा

चमन में हूँ तो फिर मैं भी चमन का एक हिस्सा हूँ
तग़ाफ़ुल इतना मेरे बाग़बाँ करना नहीं अच्छा

हिफ़ाज़त से उतारो अश्क-ए-ग़म को दिल की सीपी में
किसी क़तरे को बहर-ए-बे-कराँ करना नहीं अच्छा

उजाले ही नहीं है तीरगी भी ज़ीस्त का हासिल
कि इन तारीकियों को बे-ज़बाँ करना नहीं अच्छा

  - Ameeta Parsuram Meeta

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameeta Parsuram Meeta

As you were reading Shayari by Ameeta Parsuram Meeta

Similar Writers

our suggestion based on Ameeta Parsuram Meeta

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari