khuda ki kaun si hai raah behtar jaanta hai | ख़ुदा की कौन सी है राह बेहतर जानता है

  - Amit Ahad

khuda ki kaun si hai raah behtar jaanta hai
maza hai nekiyon mein kya qalander jaanta hai

bahut hamdard hain mere magar anjaan hain sab
mere zakhamon ki haalat ko rafoogar jaanta hai

kisi se main nahin kehta magar meri ghareebi
meri deewaron ka ukhadta plaster jaanta hai

kabhi mandir kabhi masjid pe hai is ka basera
dharm insaaniyat ka bas kabootar jaanta hai

sanam teri judaai mein kata hai waqt mushkil
gine din hijr mein kitne calendar jaanta hai

kahi bhar pet roti to kahi se haath khaali
kisi ki kaisi hai niyyat gadaagar jaanta hai

main pyaasa rah ke bhi minnat nahin karta kisi ki
bahut khuddaar hoon main ye samundar jaanta hai

kisi bhi waqt ye mazloom kar denge bagaavat
sitam ki ho chuki hai had sitamgar jaanta hai

rahein arthi se baahar haath us ka qaul hai ye
na kuchh bhi saath jaayega sikandar jaanta hai

tumhaari yaad mein raatein kati hain mushkilon se
raha hoon kitna main bechain bistar jaanta hai

na hoga doosra paida jahaan mein koi gaandhi
bahut achhi tarah se porbandar jaanta hai

yahan hai bheed mein bhi kis qadar har shakhs tanhaa
tumhaare shehar ka har ek manzar jaanta hai

ahad jeene ko to sab jee rahe hain is jahaan mein
magar is zeest ka matlab sukhanvar jaanta hai

ख़ुदा की कौन सी है राह बेहतर जानता है
मज़ा है नेकियों में क्या क़लंदर जानता है

बहुत हमदर्द हैं मेरे मगर अंजान हैं सब
मिरे ज़ख़्मों की हालत को रफ़ूगर जानता है

किसी से मैं नहीं कहता मगर मेरी ग़रीबी
मिरी दीवारों का उखड़ा प्लस्तर जानता है

कभी मंदिर कभी मस्जिद पे है इस का बसेरा
धरम इंसानियत का बस कबूतर जानता है

सनम तेरी जुदाई में कटा है वक़्त मुश्किल
गिने दिन हिज्र में कितने कैलेंडर जानता है

कहीं भर पेट रोटी तो कहीं से हाथ ख़ाली
किसी की कैसी है निय्यत गदागर जानता है

मैं प्यासा रह के भी मिन्नत नहीं करता किसी की
बहुत ख़ुद्दार हूँ मैं ये समुंदर जानता है

किसी भी वक़्त ये मज़लूम कर देंगे बग़ावत
सितम की हो चुकी है हद सितमगर जानता है

रहें अर्थी से बाहर हाथ उस का क़ौल है ये
न कुछ भी साथ जाएगा सिकंदर जानता है

तुम्हारी याद में रातें कटी हैं मुश्किलों से
रहा हूँ कितना मैं बेचैन बिस्तर जानता है

न होगा दूसरा पैदा जहाँ में कोई गाँधी
बहुत अच्छी तरह से पोरबंदर जानता है

यहाँ है भीड़ में भी किस क़दर हर शख़्स तन्हा
तुम्हारे शहर का हर एक मंज़र जानता है

'अहद' जीने को तो सब जी रहे हैं इस जहाँ में
मगर इस ज़ीस्त का मतलब सुख़नवर जानता है

  - Amit Ahad

Mazhab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amit Ahad

As you were reading Shayari by Amit Ahad

Similar Writers

our suggestion based on Amit Ahad

Similar Moods

As you were reading Mazhab Shayari Shayari