jab bhi barsi azaab ki baarish | जब भी बरसी अज़ाब की बारिश - Amit Ahad

jab bhi barsi azaab ki baarish
raas aayi sharaab ki baarish

main ne poocha ki pyaar hai mujh se
us ne kar di gulaab ki baarish

main ne to ik sawaal poocha tha
us ne kar di jawaab ki baarish

husn waalon ke vaaste kar de
ai khuda tu hijaab ki baarish

shaay'ri par yaqeen hai barsegi
ek din to khitaab ki baarish

main ne ik jaam aur maanga tha
us ne kar di hisaab ki baarish

der tak saath bheege ham us ke
ham ne yun kaamyaab ki baarish

pyaar se rok di ahad main ne
aaj us ke i'taab ki baarish

जब भी बरसी अज़ाब की बारिश
रास आई शराब की बारिश

मैं ने पूछा कि प्यार है मुझ से
उस ने कर दी गुलाब की बारिश

मैं ने तो इक सवाल पूछा था
उस ने कर दी जवाब की बारिश

हुस्न वालों के वास्ते कर दे
ऐ ख़ुदा तू हिजाब की बारिश

शाइ'री पर यक़ीं है बरसेगी
एक दिन तो ख़िताब की बारिश

मैं ने इक जाम और माँगा था
उस ने कर दी हिसाब की बारिश

देर तक साथ भीगे हम उस के
हम ने यूँ कामयाब की बारिश

प्यार से रोक दी 'अहद' मैं ने
आज उस के इ'ताब की बारिश

- Amit Ahad
0 Likes

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amit Ahad

As you were reading Shayari by Amit Ahad

Similar Writers

our suggestion based on Amit Ahad

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari