zindagi be-qaraar kaun kare | ज़िंदगी बे-क़रार कौन करे

  - Amit Ahad

zindagi be-qaraar kaun kare
khwaahishein be-shumaar kaun kare

chhod kar kaam ye mohabbat ka
khud ko be-rozgaar kaun kare

jab wafa hi nahin zamaane mein
ishq sar par sawaar kaun kare

maut aayi hai zeest ko lene
maut se ab udhaar kaun kare

haal jab poochta nahin koi
dard ko ishtehaar kaun kare

teergi mein adab ki duniya hai
ab ye raushan dayaar kaun kare

khaar hi khaar hain ahad jis par
raah vo ikhtiyaar kaun kare

ज़िंदगी बे-क़रार कौन करे
ख़्वाहिशें बे-शुमार कौन करे

छोड़ कर काम ये मोहब्बत का
ख़ुद को बे-रोज़गार कौन करे

जब वफ़ा ही नहीं ज़माने में
इश्क़ सर पर सवार कौन करे

मौत आई है ज़ीस्त को लेने
मौत से अब उधार कौन करे

हाल जब पूछता नहीं कोई
दर्द को इश्तिहार कौन करे

तीरगी में अदब की दुनिया है
अब ये रौशन दयार कौन करे

ख़ार ही ख़ार हैं 'अहद' जिस पर
राह वो इख़्तियार कौन करे

  - Amit Ahad

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amit Ahad

As you were reading Shayari by Amit Ahad

Similar Writers

our suggestion based on Amit Ahad

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari