saath kis ko chahiye ab dhoop ka | साथ किस को चाहिए अब धूप का - Amit Ahad

saath kis ko chahiye ab dhoop ka
thand mein lenge maza sab dhoop ka

bat gaye hain mazhabon mein sab yahan
koi batlaaye to mazhab dhoop ka

mushkilon mein saath koi bhi nahin
aaj samjhe ham to matlab dhoop ka

garm mausam se pareshaan sab hue
jism thanda kar de ai rab dhoop ka

chaanv ghar se odh kar nikla karo
kya pata mausam dhale kab dhoop ka

padh ke aayein phir naya koi sabq
khul gaya hai dekho matlab dhoop ka

chaanv tab haasil hui mujh ko ahad
tay kiya har din safar jab dhoop ka

साथ किस को चाहिए अब धूप का
ठण्ड में लेंगे मज़ा सब धूप का

बट गए हैं मज़हबों में सब यहाँ
कोई बतलाए तो मज़हब धूप का

मुश्किलों में साथ कोई भी नहीं
आज समझे हम तो मतलब धूप का

गर्म मौसम से परेशाँ सब हुए
जिस्म ठंडा कर दे ऐ रब धूप का

छाँव घर से ओढ़ कर निकला करो
क्या पता मौसम ढले कब धूप का

पढ़ के आएँ फिर नया कोई सबक़
खुल गया है देखो मतलब धूप का

छाँव तब हासिल हुई मुझ को 'अहद'
तय किया हर दिन सफ़र जब धूप का

- Amit Ahad
0 Likes

Safar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amit Ahad

As you were reading Shayari by Amit Ahad

Similar Writers

our suggestion based on Amit Ahad

Similar Moods

As you were reading Safar Shayari Shayari