rakhta hai apne saath gunaahon ka baar dil
ujle se mere seene mein hai daagh-daar dil
taqwa se gar bhara ho to phir nekiyon ki samt
is tarah daudta hai ki ho shehsawaar dil
hain aaj sab ke seenon mein patthar rakhe hue
barsaaye aasmaan se parwardigaar dil
kab tak tu us ki yaad ko rakhega odh kar
fatne lagi hai ab to qaba ye utaar dil
kaisi munaafiqana ravish hai ki jism ko
deta hai paak khoon yahi pur-ghubaar dil
kaanton se gham ke is ko chhudaane ke vaaste
kheecha jo main ne aur hua taar-taar dil
har baat par hai mera ye dushman bana hua
seene mein chubhta rehta hai maanind-e-khaar dil
kehta hai sher daagh ke lehje mein ab nabeel
ho na ho us ka bhi hai bahut be-qaraar dil
रखता है अपने साथ गुनाहों का बार दिल
उजले से मेरे सीने में है दाग़-दार दिल
तक़्वा से गर भरा हो तो फिर नेकियों की सम्त
इस तरह दौड़ता है कि हो शहसवार दिल
हैं आज सब के सीनों में पत्थर रखे हुए
बरसाए आसमान से पर्वरदिगार दिल
कब तक तू उस की याद को रखेगा ओढ़ कर
फटने लगी है अब तो क़बा ये उतार दिल
कैसी मुनाफ़िक़ाना रविश है कि जिस्म को
देता है पाक ख़ून यही पुर-ग़ुबार दिल
काँटों से ग़म के इस को छुड़ाने के वास्ते
खींचा जो मैं ने और हुआ तार-तार दिल
हर बात पर है मेरा ये दुश्मन बना हुआ
सीने में चुभता रहता है मानिंद-ए-ख़ार दिल
कहता है शेर दाग़ के लहजे में अब 'नबील'
हो न हो उस का भी है बहुत बे-क़रार दिल
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anas Nabeel
our suggestion based on Anas Nabeel
As you were reading Rahbar Shayari Shayari