koi gar ashk bhi ponche to gham halka nahin hota
ghadi aage badha dene se din chhota nahin hota
pilaati hain kise ab doodh maayein ba-wazoo ho kar
tabhi to ham mein ab teepoo koi paida nahin hota
gunaahon ki bhayaanak barf-baari ham ko kha jaati
khuda ke rehm ka suraj agar chamka nahin hota
kahi bhi ja ke bas jaayen watan ki yaad aati hai
kisi sauteli maa se mutmain beta nahin hota
tiri yaadon ke dariya mein har ik shab ye nahaati hain
badan ghazalon ka meri aise hi gora nahin hota
nabeel ikhlaas bas dehaat ke logon ka sheva hai
kisi bhi shehar ki mitti mein ye pauda nahin hota
कोई गर अश्क भी पोंछे तो ग़म हल्का नहीं होता
घड़ी आगे बढ़ा देने से दिन छोटा नहीं होता
पिलाती हैं किसे अब दूध माएँ बा-वज़ू हो कर
तभी तो हम में अब टीपू कोई पैदा नहीं होता
गुनाहों की भयानक बर्फ़-बारी हम को खा जाती
ख़ुदा के रहम का सूरज अगर चमका नहीं होता
कहीं भी जा के बस जाएँ वतन की याद आती है
किसी सौतेली माँ से मुतमइन बेटा नहीं होता
तिरी यादों के दरिया में हर इक शब ये नहाती हैं
बदन ग़ज़लों का मेरी ऐसे ही गोरा नहीं होता
'नबील' इख़्लास बस देहात के लोगों का शेवा है
किसी भी शहर की मिट्टी में ये पौदा नहीं होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anas Nabeel
our suggestion based on Anas Nabeel
As you were reading Aansoo Shayari Shayari