jab yaad tiri aati hai thamte nahin aansu
phir raat bhi ho jaaye to sote nahin aansu
jab khauf-e-khuda se ye nikal jaayen to moti
juz aab ke kuchh aur to hote nahin aansu
rukhsaar ke rasta pe hi chalte hain ye seedhe
insaan ki tarah rah se bhatkte nahin aansu
ta'azeem mein palkon se utar jaate hain neeche
gham aayein to baithe hue rahte nahin aansu
jab bhi main bulaata hoon chale aate hain milne
teri tarah ruswaai se darte nahin aansu
kaajal ke bikharna se bana aur haseen vo
haalaanki kisi aankh mein jachte nahin aansu
naadaan nabeel un se to jal jaayega kaaghaz
kaaghaz ke kisi safhe pe likhte nahin aansu
जब याद तिरी आती है थमते नहीं आँसू
फिर रात भी हो जाए तो सोते नहीं आँसू
जब ख़ौफ़-ए-ख़ुदा से ये निकल जाएँ तो मोती
जुज़ आब के कुछ और तो होते नहीं आँसू
रुख़्सार के रस्ता पे ही चलते हैं ये सीधे
इंसाँ की तरह रह से भटकते नहीं आँसू
तअ'ज़ीम में पलकों से उतर जाते हैं नीचे
ग़म आएँ तो बैठे हुए रहते नहीं आँसू
जब भी मैं बुलाता हूँ चले आते हैं मिलने
तेरी तरह रुस्वाई से डरते नहीं आँसू
काजल के बिखरने से बना और हसीं वो
हालाँकि किसी आँख में जचते नहीं आँसू
नादान 'नबील' उन से तो जल जाएगा काग़ज़
काग़ज़ के किसी सफ़्हे पे लिखते नहीं आँसू
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anas Nabeel
our suggestion based on Anas Nabeel
As you were reading Paani Shayari Shayari