jeevan ke kai raaz bataata hai jazeera | जीवन के कई राज़ बताता है जज़ीरा

  - Anas Nabeel

jeevan ke kai raaz bataata hai jazeera
sha'ir ko nayi raah sujhaata hai jazeera

kya daur hai khud mauj lagati hai ye tohmat
duniya mein bahut shor machaata hai jazeera

allah ki takhleeq ka andaaz to dekho
vo aab ki kheti mein ugaata hai jazeera

jeevan ka safar dukh ke samundar mein hai akshar
meelon mein kabhi khushiyon ka aata hai jazeera

ho nargha-e-baatil mein khada jaise mujahid
maujon mein yoonhi sar ko uthaata hai jazeera

har shab tiri yaadon ke samundar mein utar kar
ik paara-e-dil khud ko banata hai jazeera

baitha hai haseen koi samundar ke kinaare
uth uth ke jise dekhta jaata hai jazeera

mehboob se jab poochta hoon ishq ka anjaam
ungli ke ishaare se dikhaata hai jazeera

ai mere nabeel aap ke jaisa hi sada se
tanhaai ka gham roz uthaata hai jazeera

जीवन के कई राज़ बताता है जज़ीरा
शाइ'र को नई राह सुझाता है जज़ीरा

क्या दौर है ख़ुद मौज लगाती है ये तोहमत
दुनिया में बहुत शोर मचाता है जज़ीरा

अल्लाह की तख़्लीक़ का अंदाज़ तो देखो
वो आब की खेती में उगाता है जज़ीरा

जीवन का सफ़र दुख के समुंदर में है अक्सर
मीलों में कभी ख़ुशियों का आता है जज़ीरा

हो नर्ग़ा-ए-बातिल में खड़ा जैसे मुजाहिद
मौजों में यूँही सर को उठाता है जज़ीरा

हर शब तिरी यादों के समुंदर में उतर कर
इक पारा-ए-दिल ख़ुद को बनाता है जज़ीरा

बैठा है हसीं कोई समुंदर के किनारे
उठ उठ के जिसे देखता जाता है जज़ीरा

महबूब से जब पूछता हूँ इश्क़ का अंजाम
उँगली के इशारे से दिखाता है जज़ीरा

ऐ मेरे 'नबील' आप के जैसा ही सदा से
तन्हाई का ग़म रोज़ उठाता है जज़ीरा

  - Anas Nabeel

Naqab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anas Nabeel

As you were reading Shayari by Anas Nabeel

Similar Writers

our suggestion based on Anas Nabeel

Similar Moods

As you were reading Naqab Shayari Shayari