har ek pal mujhe dukh dard be-shumaar mile | हर एक पल मुझे दुख दर्द बे-शुमार मिले - Anis Abr

har ek pal mujhe dukh dard be-shumaar mile
khuda kabhi to mere dil ko bhi qaraar mile

zamaana dushman-e-jaan ho gaya ye gham hai magar
mera naseeb ki khanjar b-dast-e-yaar mile

kya hogi is se bhi badh kar kisi ki mehroomi
jise naseeb mein taa-marg intizaar mile

ai aalameen ke raaziq bata kahaan jaaun
mere watan mein mujhe jab na rozgaar mile

rahe vo zinda ya mar jaaye farq kya hai jise
ghutan zamaane mein aur qabr mein fishaar mile

main muskurata magar di na ashk ne mohlat
khushi jab ek mili saath gham hazaar mile

jo jhooth bole hukoomat se daad le jaaye
jo bole sach use tohfe mein ouj-e-daar mile

falak pe likkhoon tira naam mere naam ke saath
agar kabhi mujhe taaron par ikhtiyaar mile

main jin se door hi rahna pasand karta tha
vo zindagi ki masafat mein baar baar mile

khushi se abr har ik rabt munkata kar do
agar kahi koi duniya mein sogwaar mile

हर एक पल मुझे दुख दर्द बे-शुमार मिले
ख़ुदा कभी तो मेरे दिल को भी क़रार मिले

ज़माना दुश्मन-ए-जाँ हो गया ये ग़म है मगर
मिरा नसीब कि ख़ंजर ब-दस्त-ए-यार मिले

क्या होगी इस से भी बढ़ कर किसी की महरूमी
जिसे नसीब में ता-मर्ग इंतिज़ार मिले

ऐ आलमीन के राज़िक़ बता कहाँ जाऊँ
मिरे वतन में मुझे जब न रोज़गार मिले

रहे वो ज़िंदा या मर जाए फ़र्क़ क्या है जिसे
घुटन ज़माने में और क़ब्र में फ़िशार मिले

मैं मुस्कुराता मगर दी न अश्क ने मोहलत
ख़ुशी जब एक मिली साथ ग़म हज़ार मिले

जो झूट बोले हुकूमत से दाद ले जाए
जो बोले सच उसे तोहफ़े में औज-ए-दार मिले

फ़लक पे लिक्खूँ तिरा नाम मेरे नाम के साथ
अगर कभी मुझे तारों पर इख़्तियार मिले

मैं जिन से दूर ही रहना पसंद करता था
वो ज़िंदगी की मसाफ़त में बार बार मिले

ख़ुशी से 'अब्र' हर इक रब्त मुंक़ता' कर दो
अगर कही कोई दुनिया में सोगवार मिले

- Anis Abr
0 Likes

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anis Abr

As you were reading Shayari by Anis Abr

Similar Writers

our suggestion based on Anis Abr

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari