laga ke dil koi kuchh pal ameer rehta hai | लगा के दिल कोई कुछ पल अमीर रहता है - Anis Abr

laga ke dil koi kuchh pal ameer rehta hai
phir ik umr vo gham mein aseer rehta hai

kyun haath dil se lagaate ho baar baar apna
kya dil mein ab bhi koi be-nazeer rehta hai

tiri zabaan pe qanaat ki baat theek nahin
tire badan pe libaas-e-hareer rehta hai

yaqeen aa gaya in meherbaan hawaon se
usi gali mein mera dast-geer rehta hai

tire firaq ka gham vo hai ki dilaase ko
ta-subh baam pe maah-e-muneer rehta hai

phir ahl-e-ishq ki takhleeq hoti hai pehle
junoon ki aag mein barson khameer rehta hai

लगा के दिल कोई कुछ पल अमीर रहता है
फिर इक उम्र वो ग़म में असीर रहता है

क्यूँ हाथ दिल से लगाते हो बार बार अपना
क्या दिल में अब भी कोई बे-नज़ीर रहता है

तिरी ज़बाँ पे क़नाअत की बात ठीक नहीं
तिरे बदन पे लिबास-ए-हरीर रहता है

यक़ीन आ गया इन मेहरबाँ हवाओं से
उसी गली में मिरा दस्त-गीर रहता है

तिरे फ़िराक़ का ग़म वो है कि दिलासे को
ता-सुब्ह बाम पे माह-ए-मुनीर रहता है

फिर अहल-ए-इश्क़ की तख़्लीक़ होती है पहले
जुनूँ की आग में बरसों ख़मीर रहता है

- Anis Abr
0 Likes

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anis Abr

As you were reading Shayari by Anis Abr

Similar Writers

our suggestion based on Anis Abr

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari