lafz yun khaamoshi se ladte hain | लफ़्ज़ यूँ ख़ामुशी से लड़ते हैं - Anis Abr

lafz yun khaamoshi se ladte hain
jis tarah gham hasi se ladte hain

jaanwar jaanwar se ladta hai
aadmi aadmi se ladte hain

maut ki aarzoo mein deewane
umr-bhar zindagi se ladte hain

jis se hai dosti ka hukm hamein
ham bhi paagal usi se ladte hain

doosron se kabhi nahin ladte
log jo bhi khudi se ladte hain

ye andheron ke hukmraan saare
aaj bhi raushni se ladte hain

jo ana ke mareez hote hain
har naye din kisi se ladte hain

aur bhi log jab hain basti mein
aap kyun kar humi se ladte hain

un ko mazdoor kehna theek nahin
log jo muflisi se ladte hain

abr be-kaar log poochte hain
aap bhi kya kisi se ladte hain

लफ़्ज़ यूँ ख़ामुशी से लड़ते हैं
जिस तरह ग़म हँसी से लड़ते हैं

जानवर जानवर से लड़ता है
आदमी आदमी से लड़ते हैं

मौत की आरज़ू में दीवाने
उम्र-भर ज़िंदगी से लड़ते हैं

जिस से है दोस्ती का हुक्म हमें
हम भी पागल उसी से लड़ते हैं

दूसरों से कभी नहीं लड़ते
लोग जो भी ख़ुदी से लड़ते हैं

ये अँधेरों के हुक्मराँ सारे
आज भी रौशनी से लड़ते हैं

जो अना के मरीज़ होते हैं
हर नए दिन किसी से लड़ते हैं

और भी लोग जब हैं बस्ती में
आप क्यूँ कर हमी से लड़ते हैं

उन को मज़दूर कहना ठीक नहीं
लोग जो मुफ़्लिसी से लड़ते हैं

'अब्र' बे-कार लोग पूछते हैं
आप भी क्या किसी से लड़ते हैं

- Anis Abr
0 Likes

Aarzoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anis Abr

As you were reading Shayari by Anis Abr

Similar Writers

our suggestion based on Anis Abr

Similar Moods

As you were reading Aarzoo Shayari Shayari