vasl hi vasl rahe hijr ka imkaan na ho | वस्ल ही वस्ल रहे हिज्र का इम्कान न हो - Anis Abr

vasl hi vasl rahe hijr ka imkaan na ho
ai mere dost ye rishta kabhi be-jaan na ho

ek qaaidi ki tamannaa hai naya shehar mile
shehar aisa ki jahaan par koi zindaan na ho

dil ko raas aayi hain ye mushkilein mushkil se bahut
ab main ye chahta hoon zindagi aasaan na ho

baat tujh se tire andaaz mein hi kar raha ho
mere lehje ki akad sun ke tu hairaan na ho

is qadar tang hain mayus nigaahen us ki
maut bhi saamne aaye to pareshaan na ho

kis ke aage ye malaayek ki jabeenen kham hain
jis ko sajda ye hua hai kahi insaan na ho

वस्ल ही वस्ल रहे हिज्र का इम्कान न हो
ऐ मिरे दोस्त ये रिश्ता कभी बे-जान न हो

एक क़ैदी की तमन्ना है नया शहर मिले
शहर ऐसा कि जहाँ पर कोई ज़िंदान न हो

दिल को रास आई हैं ये मुश्किलें मुश्किल से बहुत
अब मैं ये चाहता हूँ ज़िंदगी आसान न हो

बात तुझ से तिरे अंदाज़ में ही कर रहा हो
मेरे लहजे की अकड़ सुन के तू हैरान न हो

इस क़दर तंग हैं मायूस निगाहें उस की
मौत भी सामने आए तो परेशान न हो

किस के आगे ये मलाएक की जबीनें ख़म हैं
जिस को सज्दा ये हुआ है कहीं इंसान न हो

- Anis Abr
0 Likes

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anis Abr

As you were reading Shayari by Anis Abr

Similar Writers

our suggestion based on Anis Abr

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari