jo shakhs karta raha barson ik makaan raushan | जो शख़्स करता रहा बरसों इक मकाँ रौशन

  - Anjali Sahar

jo shakhs karta raha barson ik makaan raushan
na jaane kar raha hai kaun sa jahaan raushan

hai in diyon ka muqaddar bhi betiyon jaisa
kahaan banaaye gaye aur hue kahaan raushan

hamaari or to hoti hai ab bahaar udaas
tumhaare hone se to hogi waan khizaan raushan

ki in ghamon se nikalna bahut kathin bhi nahin
dil-o-dimaagh rahe bas ravaan davaa raushan

bichhadte waqt thi maa baap ke labon pe dua
khuda rakhe tujhe bitiya sada wahan raushan

yahi banengi tumhaare bhi doobne ka sabab
jo shakl se nazar aati hain kashtiyaan raushan

sukhnavaron mein gina jaayega tujhe bhi sehar
khuda banaaye rakhe tera ye gumaan raushan

जो शख़्स करता रहा बरसों इक मकाँ रौशन
न जाने कर रहा है कौन सा जहाँ रौशन

है इन दियों का मुक़द्दर भी बेटियों जैसा
कहाँ बनाए गए और हुए कहाँ रौशन

हमारी ओर तो होती है अब बहार उदास
तुम्हारे होने से तो होगी वाँ ख़िज़ाँ रौशन

कि इन ग़मों से निकलना बहुत कठिन भी नहीं
दिल-ओ-दिमाग़ रहे बस रवाँ दवाँ रौशन

बिछड़ते वक़्त थी माँ बाप के लबों पे दुआ
ख़ुदा रखे तुझे बिटिया सदा वहाँ रौशन

यही बनेंगी तुम्हारे भी डूबने का सबब
जो शक्ल से नज़र आती हैं कश्तियाँ रौशन

सुख़नवरों में गिना जाएगा तुझे भी सहर
ख़ुदा बनाए रखे तेरा ये गुमाँ रौशन

  - Anjali Sahar

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anjali Sahar

As you were reading Shayari by Anjali Sahar

Similar Writers

our suggestion based on Anjali Sahar

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari