tamannaayein jawaan theen ishq farmaane se pehle
shagufta the ye saare phool kumhalane se pehle
hifazat ki koi soorat nikal aati hai akshar
main tum ko dhundh hi leta hoon kho jaane se pehle
bhala vo log kya jaanen safar ki lazzaton ko
jinhen manzil mili ho thokren khaane se pehle
meri vehshat mere sehra mein un ko dhoondhti hai
jo the do-chaar chehre jaane pahchaane se pehle
junoon ki manzilen aasaan nahin ye soch lena
kai gulshan padenge tum ko veeraane se pehle
तमन्नाएँ जवाँ थीं इश्क़ फ़रमाने से पहले
शगुफ़्ता थे ये सारे फूल कुम्हलाने से पहले
हिफ़ाज़त की कोई सूरत निकल आती है अक्सर
मैं तुम को ढूँड ही लेता हूँ खो जाने से पहले
भला वो लोग क्या जानें सफ़र की लज़्ज़तों को
जिन्हें मंज़िल मिली हो ठोकरें खाने से पहले
मिरी वहशत मिरे सहरा में उन को ढूँढती है
जो थे दो-चार चेहरे जाने पहचाने से पहले
जुनूँ की मंज़िलें आसाँ नहीं ये सोच लेना
कई गुलशन पड़ेंगे तुम को वीराने से पहले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aqeel Nomani
our suggestion based on Aqeel Nomani
As you were reading Valentine Shayari Shayari