ishq qaateel hua hai jis-tis ka
koi apna nahin hua is ka
phir raha hai vo dar-b-dar tanhaa
ishq kaamil nahin hua jis ka
umr ki tez dhoop mein dekho
husn dhalne laga hai nargis ka
waqt ka intizaar sab ko hai
waqt lekin hai muntazir kis ka
gar jahaan mein khuda na hota to
aashnaa kaun hota mufalis ka
har safar mein use mili manzil
rehnuma hai khuda yahan jis ka
maut to aa gai mujhe kab ki
main abhi bhi hoon muntazir kis ka
ashk barase the raat bhar jassar
abr yaadon ka dil mein tha khiska
इश्क़ क़ातिल हुआ है जिस-तिस का
कोई अपना नहीं हुआ इस का
फिर रहा है वो दर-ब-दर तन्हा
इश्क़ कामिल नहीं हुआ जिस का
उम्र की तेज़ धूप में देखो
हुस्न ढलने लगा है नरगिस का
वक़्त का इंतिज़ार सब को है
वक़्त लेकिन है मुन्तजि़र किस का
गर जहाँ में ख़ुदा न होता तो
आशना कौन होता मुफ़लिस का
हर सफ़र में उसे मिली मंज़िल
रहनुमा है ख़ुदा यहाँ जिस का
मौत तो आ गई मुझे कब की
मैं अभी भी हूँ मुंतज़िर किस का
अश्क बरसे थे रात भर “जस्सर”
अब्र यादों का दिल में था खिसका
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Avtar Singh Jasser
our suggestion based on Avtar Singh Jasser
As you were reading Safar Shayari Shayari