tiri awaaz par ruke hi nahin | तिरी आवाज़ पर रुके ही नहीं

  - Babar Ali Asad

tiri awaaz par ruke hi nahin
so kai waqie hue hi nahin

us ne jitne diye main le aaya
muft ke saans the gine hi nahin

mo'jize waqt par nahin hote
saanehe waqt dekhte hi nahin

jhooth hai dil-b-dar kiye gaye hain
sach kahein ham wahan pe the hi nahin

sab haqeeqat-pasand ho gaye hain
log ab khwaab dekhte hi nahin

jo tire naam mein nahin aate
aise harfon ko jaante hi nahin

ris rahe hain jagah jagah se asad
us ne kuchh zakham to siye hi nahin

तिरी आवाज़ पर रुके ही नहीं
सो कई वाक़िए हुए ही नहीं

उस ने जितने दिए मैं ले आया
मुफ़्त के साँस थे गिने ही नहीं

मो'जिज़े वक़्त पर नहीं होते
सानेहे वक़्त देखते ही नहीं

झूठ है दिल-ब-दर किए गए हैं
सच कहें हम वहाँ पे थे ही नहीं

सब हक़ीक़त-पसंद हो गए हैं
लोग अब ख़्वाब देखते ही नहीं

जो तिरे नाम में नहीं आते
ऐसे हर्फ़ों को जानते ही नहीं

रिस रहे हैं जगह जगह से 'असद'
उस ने कुछ ज़ख़्म तो सिए ही नहीं

  - Babar Ali Asad

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Babar Ali Asad

As you were reading Shayari by Babar Ali Asad

Similar Writers

our suggestion based on Babar Ali Asad

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari