ham ne dekhe zindagi mein chand aise sar-fire
dushmanon mein jo payaam-e-dosti le kar phire
waaye ye taht-e-shuoor apna bala sa ban gaya
apni aankhon mein bade naadeedani manzar phire
jab bhi vo aaye khuli aish-o-tarab ki chaandni
din mere zulmat-kade ke is tarah akshar phire
kya koi shehr-e-tamanna phir ujad kar bas gaya
jaabiraan-e-waqt kyun khanjar liye ghar ghar phire
shab ko akshar hum-safar thi thandi thandi chaandni
din ko ham jalta hua suraj liye sar par phire
neend kya aati shab-e-hijraan ke is maahol mein
ham kabhi baithe kabhi uthe kabhi uth kar phire
dam ghaneemat hai jamaali aap ka is daur mein
ab zamaane mein kahaan hain aap jaise sar-fire
हम ने देखे ज़िंदगी में चंद ऐसे सर-फिरे
दुश्मनों में जो पयाम-ए-दोस्ती ले कर फिरे
वाए ये तहत-ए-शुऊर अपना बला सा बन गया
अपनी आँखों में बड़े नादीदनी मंज़र फिरे
जब भी वो आए खुली ऐश-ओ-तरब की चाँदनी
दिन मिरे ज़ुल्मत-कदे के इस तरह अक्सर फिरे
क्या कोई शहर-ए-तमन्ना फिर उजड़ कर बस गया
जाबिरान-ए-वक़्त क्यों ख़ंजर लिए घर घर फिरे
शब को अक्सर हम-सफ़र थी ठंडी ठंडी चाँदनी
दिन को हम जलता हुआ सूरज लिए सर पर फिरे
नींद क्या आती शब-ए-हिज्राँ के इस माहौल में
हम कभी बैठे कभी उठे कभी उठ कर फिरे
दम ग़नीमत है 'जमाली' आप का इस दौर में
अब ज़माने में कहाँ हैं आप जैसे सर-फिरे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Badar Jamali
our suggestion based on Badar Jamali
As you were reading Khwab Shayari Shayari