zindagi ka hai ye bhi koi dhang
na koi aarzoo na koi umang
hosh ka toor ya khird ka rang
aashiqi ke liye hain dono nang
aql hairaan hai aur fikr hai dang
jalwa aur vo bhi sar-b-sar be-rang
sulh-e-kul ishq ka har ik andaaz
husn ki har ada payaam-e-jang
abhi jeete hain ahrman-zaade
abhi barpa hai khair-o-shar ki jang
allah allah ye husn ka aalam
phool jaise khile hon ranga-rang
qahqahe un ke saagharon ki khanak
muskuraahat tuloo-e-subh ka rang
kitni rangeen hai ghazal teri
bandh gaya bazm mein jamaali rang
ज़िंदगी का है ये भी कोई ढंग
न कोई आरज़ू न कोई उमंग
होश का तूर या ख़िरद का रंग
आशिक़ी के लिए हैं दोनों नंग
अक़्ल हैराँ है और फ़िक्र है दंग
जल्वा और वो भी सर-ब-सर बे-रंग
सुल्ह-ए-कुल इश्क़ का हर इक अंदाज़
हुस्न की हर अदा पयाम-ए-जंग
अभी जीते हैं अहरमन-ज़ादे
अभी बरपा है ख़ैर-ओ-शर की जंग
अल्लाह अल्लाह ये हुस्न का आलम
फूल जैसे खिले हों रंगा-रंग
क़हक़हे उन के साग़रों की खनक
मुस्कुराहट तुलू-ए-सुब्ह का रंग
कितनी रंगीन है ग़ज़ल तेरी
बंध गया बज़्म में 'जमाली' रंग
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Badar Jamali
our suggestion based on Badar Jamali
As you were reading Duniya Shayari Shayari