har gham pe aaj-kal hai khushi ka gumaan mujhe | हर ग़म पे आज-कल है ख़ुशी का गुमाँ मुझे

  - Badar Jamali

har gham pe aaj-kal hai khushi ka gumaan mujhe
le aayi yaad-e-yaar kahaan se kahaan mujhe

manzoor zauq-e-deed ka ho imtihaan mujhe
ye taab ye majaal ye taqat kahaan mujhe

yaarab qafas ki khair ki dekha jo khwaab bhi
aaya hai bijliyon mein nazar aashiyaan mujhe

azaadi-e-khyaal ke vo rang ab kahaan
tha ibtida mein kunj-e-qafas aashiyaan mujhe

zauq-e-talab ka raaz yahi zindagi yahi
har kaarwaan hai gard-e-pas-e-kaarwaan mujhe

main jaan-e-rang-o-boo hoon main aaraaish-e-chaman
tu kya samajh raha hai mere baagbaan mujhe

tevar nigaah-e-naaz ke kuchh din yahi jo hain
yaara-e-zabt-e-raaz jamaali kahaan mujhe

हर ग़म पे आज-कल है ख़ुशी का गुमाँ मुझे
ले आई याद-ए-यार कहाँ से कहाँ मुझे

मंज़ूर ज़ौक़-ए-दीद का हो इम्तिहाँ मुझे
ये ताब ये मजाल ये ताक़त कहाँ मुझे

यारब क़फ़स की ख़ैर कि देखा जो ख़्वाब भी
आया है बिजलियों में नज़र आशियाँ मुझे

आज़ादी-ए-ख़याल के वो रंग अब कहाँ
था इब्तिदा में कुंज-ए-क़फ़स आशियाँ मुझे

ज़ौक़-ए-तलब का राज़ यही ज़िंदगी यही
हर कारवाँ है गर्द-ए-पस-ए-कारवाँ मुझे

मैं जान-ए-रंग-ओ-बू हूँ मैं आराइश-ए-चमन
तू क्या समझ रहा है मिरे बाग़बाँ मुझे

तेवर निगाह-ए-नाज़ के कुछ दिन यही जो हैं
यारा-ए-ज़ब्त-ए-राज़ 'जमाली' कहाँ मुझे

  - Badar Jamali

Tevar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Badar Jamali

As you were reading Shayari by Badar Jamali

Similar Writers

our suggestion based on Badar Jamali

Similar Moods

As you were reading Tevar Shayari Shayari