ham gham-e-zamaana se yun nazar milaayenge | हम ग़म-ए-ज़माना से यूँ नज़र मिलाएँगे

  - Badar Jamali

ham gham-e-zamaana se yun nazar milaayenge
mushkilein padenge jab aur muskuraayenge

phir bahaar aayegi phool muskuraayenge
phir junoon ke afsaane ham ko yaad aayenge

zaahiri tapaak un ka de gaya hamein dhoka
ye samajh rahe the ham dil se dil milaayenge

aasmaan ke sah paaro tez-gaam sayyaaro
an-qareeb tum se bhi ham qadam milaayenge

jadui khird hai vo ye junoon ki manzil hai
tum idhar na aaoge ham udhar na jaayenge

vo hazaar thukraaye ham se rooth bhi jaaye
zindagi ko khud badh kar ham gale lagaaenge

aaj to jamaali ko bazm se uthaate hain
ek din zaroor us ko aap phir bulaaenge

हम ग़म-ए-ज़माना से यूँ नज़र मिलाएँगे
मुश्किलें पड़ेंगी जब और मुस्कुराएँगे

फिर बहार आएगी फूल मुस्कुराएँगे
फिर जुनूँ के अफ़्साने हम को याद आएँगे

ज़ाहिरी तपाक उन का दे गया हमें धोका
ये समझ रहे थे हम दिल से दिल मिलाएँगे

आसमाँ के सह पारो तेज़-गाम सय्यारो
अन-क़रीब तुम से भी हम क़दम मिलाएँगे

जादुई ख़िरद है वो ये जुनूँ की मंज़िल है
तुम इधर न आओगे हम उधर न जाएँगे

वो हज़ार ठुकराए हम से रूठ भी जाए
ज़िंदगी को ख़ुद बढ़ कर हम गले लगाएँगे

आज तो 'जमाली' को बज़्म से उठाते हैं
एक दिन ज़रूर उस को आप फिर बुलाएँगे

  - Badar Jamali

Basant Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Badar Jamali

As you were reading Shayari by Badar Jamali

Similar Writers

our suggestion based on Badar Jamali

Similar Moods

As you were reading Basant Shayari Shayari