ham ne aap ke gham ko hum-safar banaya hai
ya'ni zindagaani ko mo'tabar banaya hai
har gham-e-zamaana ko dil mein di jagah ham ne
khoob jo mila us ko khoob-tar banaya hai
eent aur patthar ka ghar nahin mila to kya
dushmanon ke dil mein bhi ham ne ghar banaya hai
ehtiyaat seekhi hai be-usool logon se
ham ko chand andhon ne deeda-war banaya hai
zeest ke gharaunde ko ham ne apne haathon se
umr bhar bigaara hai umr bhar banaya hai
हम ने आप के ग़म को हम-सफ़र बनाया है
या'नी ज़िंदगानी को मो'तबर बनाया है
हर ग़म-ए-ज़माना को दिल में दी जगह हम ने
ख़ूब जो मिला उस को ख़ूब-तर बनाया है
ईंट और पत्थर का घर नहीं मिला तो क्या
दुश्मनों के दिल में भी हम ने घर बनाया है
एहतियात सीखी है बे-उसूल लोगों से
हम को चंद अंधों ने दीदा-वर बनाया है
ज़ीस्त के घरौंदे को हम ने अपने हाथों से
उम्र भर बिगाड़ा है उम्र भर बनाया है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Badar Jamali
our suggestion based on Badar Jamali
As you were reading Gham Shayari Shayari