wahi jo manzil-e-shams-o-qamar mein rehta hai
vo husn ban ke hamaari nazar mein rehta hai
nazar ko apni chhupaaye hue hoon main sab se
ki ek parda-nasheen is nazar mein rehta hai
tumhaari deed ka armaan jo ghat gaya dil mein
vo ban ke naala talaash-e-asar mein rehta hai
aseer-e-zulf-e-parishaan hoon is liye ai dost
mera khayal hamesha safar mein rehta hai
qafas ki zindagi-e-be-mazaa ko kab haasil
jo lutf yoorish-e-bark-o-sharar mein rehta hai
jidhar nigaah uthaaun usi ka aks ubhre
usi ka jalwa jamaali nazar mein rehta hai
वही जो मंज़िल-ए-शम्स-ओ-क़मर में रहता है
वो हुस्न बन के हमारी नज़र में रहता है
नज़र को अपनी छुपाए हुए हूँ मैं सब से
कि एक पर्दा-नशीं इस नज़र में रहता है
तुम्हारी दीद का अरमाँ जो घट गया दिल में
वो बन के नाला तलाश-ए-असर में रहता है
असीर-ए-ज़ुल्फ़-ए-परीशाँ हूँ इस लिए ऐ दोस्त
मिरा ख़याल हमेशा सफ़र में रहता है
क़फ़स की ज़िंदगी-ए-बे-मज़ा को कब हासिल
जो लुत्फ़ यूरिश-ए-बर्क़-ओ-शरर में रहता है
जिधर निगाह उठाऊँ उसी का अक्स उभरे
उसी का जल्वा 'जमाली' नज़र में रहता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Badar Jamali
our suggestion based on Badar Jamali
As you were reading Kamar Shayari Shayari