hijr mein jo ashk-e-chashm-e-tar gira | हिज्र में जो अश्क-ए-चश्म-ए-तर गिरा

  - Badar Jamali

hijr mein jo ashk-e-chashm-e-tar gira
ik payaam haal-e-dil ban kar gira

doston ke tanj ka ek ek teer
barq ban ban kar mere dil par gira

jab uthaya bazm se us shokh ne
main utha uth kar chala chal kar gira

waaye ik mufalis ka tha sab kuchh wahi
in dinon sailaab mein jo ghar gira

kya gazab hai zindagi ki daud mein
raahzan aage badha rahbar gira

हिज्र में जो अश्क-ए-चश्म-ए-तर गिरा
इक पयाम हाल-ए-दिल बन कर गिरा

दोस्तों के तंज़ का एक एक तीर
बर्क़ बन बन कर मिरे दिल पर गिरा

जब उठाया बज़्म से उस शोख़ ने
मैं उठा उठ कर चला चल कर गिरा

वाए इक मुफ़लिस का था सब कुछ वही
इन दिनों सैलाब में जो घर गिरा

क्या ग़ज़ब है ज़िंदगी की दौड़ में
राहज़न आगे बढ़ा रहबर गिरा

  - Badar Jamali

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Badar Jamali

As you were reading Shayari by Badar Jamali

Similar Writers

our suggestion based on Badar Jamali

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari