apne chehre par kai chehre liye
ham bade hi paarsa ban kar jiye
raaz ulfat ka chhupaane ke liye
zabt-e-girya bhi kiya lab bhi siye
jin mein chalti hain hawaaein tez tez
aisi raahon mein jalaae hain diye
jo bhi hain is bazm mein madhosh hain
aur ye madhoshiyaan hain bin piye
aap ne chhode hain jo naqsh-e-qadam
vo hamaare haq mein hain raushan diye
gham ke toofaanon ki zad par be-khatr
phir jamaali ne jalaae hain diye
अपने चेहरे पर कई चेहरे लिए
हम बड़े ही पारसा बन कर जिए
राज़ उल्फ़त का छुपाने के लिए
ज़ब्त-ए-गिर्या भी किया लब भी सिए
जिन में चलती हैं हवाएँ तेज़ तेज़
ऐसी राहों में जलाए हैं दिए
जो भी हैं इस बज़्म में मदहोश हैं
और ये मदहोशियाँ हैं बिन पिए
आप ने छोड़े हैं जो नक़्श-ए-क़दम
वो हमारे हक़ में हैं रौशन दिए
ग़म के तूफ़ानों की ज़द पर बे-ख़तर
फिर 'जमाली' ने जलाए हैं दिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Badar Jamali
our suggestion based on Badar Jamali
As you were reading Udasi Shayari Shayari