kab zulf-e-dota un ki pareshaan nahin hai | कब ज़ुल्फ़-ए-दोता उन की परेशान नहीं है

  - Badar Jamali

kab zulf-e-dota un ki pareshaan nahin hai
kab vahshat-e-dil ka meri samaan nahin hai

yaadon ko lagaaye hue seene se guzar ja
ye raah-e-mohabbat hai kuchh aasaan nahin hai

duniya mein mujhe daulat-e-jaaved hai haasil
kya dil mein mere aap ka armaan nahin hai

ai baada-kasho zarf ki kuchh baat karo aaj
saaqi ka yahan aam ab ehsaan nahin hai

kya poochte ho tamkanat-e-husn ka aalam
ab jaise karam ka koi imkaan nahin hai

kuchh roz se har neshtar-e-gham hai gawara
kya ye nigaah-e-mast ka ehsaan nahin hai

armaan umang hausla ummeed bhi is mein
kaashaana-e-dil dosto veeraan nahin hai

yun milte hain mujh se vo sar-e-bazm jamaali
jaise meri un se koi pehchaan nahin hai

कब ज़ुल्फ़-ए-दोता उन की परेशान नहीं है
कब वहशत-ए-दिल का मिरी सामान नहीं है

यादों को लगाए हुए सीने से गुज़र जा
ये राह-ए-मोहब्बत है कुछ आसान नहीं है

दुनिया में मुझे दौलत-ए-जावेद है हासिल
क्या दिल में मिरे आप का अरमान नहीं है

ऐ बादा-कशो ज़र्फ़ की कुछ बात करो आज
साक़ी का यहाँ आम अब एहसान नहीं है

क्या पूछते हो तमकनत-ए-हुस्न का आलम
अब जैसे करम का कोई इम्कान नहीं है

कुछ रोज़ से हर नेश्तर-ए-ग़म है गवारा
क्या ये निगह-ए-मस्त का एहसान नहीं है

अरमान उमंग हौसला उम्मीद भी इस में
काशाना-ए-दिल दोस्तो वीरान नहीं है

यूँ मिलते हैं मुझ से वो सर-ए-बज़्म 'जमाली'
जैसे मिरी उन से कोई पहचान नहीं है

  - Badar Jamali

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Badar Jamali

As you were reading Shayari by Badar Jamali

Similar Writers

our suggestion based on Badar Jamali

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari