dil se be-sood aur jaan se kharab | दिल से बे-सूद और जाँ से ख़राब

  - Bakul Dev

dil se be-sood aur jaan se kharab
ho raha hoon kahaan kahaan se kharab

gham ki dahleez hai bhali kitni
koi uthata nahin yahan se kharab

main mera aks aur aaina
ye nazaara tha darmiyaan se kharab

khud ko ta'aamir karte karte main
ho gaya hoon yahan wahan se kharab

raushni ik haqeer taare ki
aa gai ho ke kahkashaan se kharab

zer-e-lab rakh chhupa ke naam us ka
lafz hote hain kuchh bayaan se kharab

ek muddat se hoon main munkir-e-ishq
aa mujhe kar de apni haan se kharab

rang nikhere hain phir wahin pe bakul
meri tasveer thi jahaan se kharab

दिल से बे-सूद और जाँ से ख़राब
हो रहा हूँ कहाँ कहाँ से ख़राब

ग़म की दहलीज़ है भली कितनी
कोई उठता नहीं यहाँ से ख़राब

मैं मिरा अक्स और आईना
ये नज़ारा था दरमियाँ से ख़राब

ख़ुद को ता'मीर करते करते मैं
हो गया हूँ यहाँ वहाँ से ख़राब

रौशनी इक हक़ीर तारे की
आ गई हो के कहकशाँ से ख़राब

ज़ेर-ए-लब रख छुपा के नाम उस का
लफ़्ज़ होते हैं कुछ बयाँ से ख़राब

एक मुद्दत से हूँ मैं मुंकिर-ए-इश्क़
आ मुझे कर दे अपनी हाँ से ख़राब

रंग निखरे हैं फिर वहीं पे 'बकुल'
मेरी तस्वीर थी जहाँ से ख़राब

  - Bakul Dev

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bakul Dev

As you were reading Shayari by Bakul Dev

Similar Writers

our suggestion based on Bakul Dev

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari