yakaayak aks dhundlaane lage hain
nazar mein aaine aane lage hain
zameen hai muntazir fasl-e-ziya ki
falak par noor ke daane lage hain
khizaan aane se pehle baanch lena
darakhton par jo afsaane lage hain
hamein is tarah hi hona tha aabaad
hamaare saath veeraane lage hain
faseel-e-dil gira to doon main lekin
isee deewaar se shaane lage hain
kabhi faaqa-kashi dikhlaayegi rang
isee mein solhon aane lage hain
यकायक अक्स धुँदलाने लगे हैं
नज़र में आइने आने लगे हैं
ज़मीं है मुंतज़िर फ़स्ल-ए-ज़िया की
फ़लक पर नूर के दाने लगे हैं
ख़िज़ाँ आने से पहले बाँच लेना
दरख़्तों पर जो अफ़्साने लगे हैं
हमें इस तरह ही होना था आबाद
हमारे साथ वीराने लगे हैं
फ़सील-ए-दिल गिरा तो दूँ मैं लेकिन
इसी दीवार से शाने लगे हैं
कभी फ़ाक़ा-कशी दिखलाएगी रंग
इसी में सोलहों आने लगे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bakul Dev
our suggestion based on Bakul Dev
As you were reading Nigaah Shayari Shayari