hamein raas aani hai raahon ki gathri | हमें रास आनी है राहों की गठरी

  - Bakul Dev

hamein raas aani hai raahon ki gathri
rakho paas apni panahon ki gathri

badal jaaye kaash is haseen marhale par
hamaari tumhaari gunaahon ki gathri

mohabbat ki raahen theen hamvaar lekin
humeen dho na paaye nibaahon ki gathri

takalluf ke samaan bikhre the baaham
so baandhe rahe ham bhi baanhon ki gathri

ujaale ke hain in dinon daam unche
chalo loot len roo-siyaahon ki gathri

dhari rah gai munsif-e-dil ke aage
bayaanon ki gathri gawaahon. ki gathri

na ugli hi jaaye na nigle bane hai
gale mein fansi ek aahon ki gathri

ye sookhi hui fasl-e-gham jee uthegi
agar khul gai in nigaahon ki gathri

uthengi kisi roz sailaab ban kar
ye aabaadiyaan hain tabaahon ki gathri

meri seedhi saadi si baaton pe mat ja
meri zaat hai kaj-kulaahon ki gathri

हमें रास आनी है राहों की गठरी
रखो पास अपनी पनाहों की गठरी

बदल जाए काश इस हसीं मरहले पर
हमारी तुम्हारी गुनाहों की गठरी

मोहब्बत की राहें थीं हमवार लेकिन
हमीं ढो न पाए निबाहों की गठरी

तकल्लुफ़ के सामान बिखरे थे बाहम
सो बाँधे रहे हम भी बाँहों की गठरी

उजाले के हैं इन दिनों दाम ऊँचे
चलो लूट लें रू-सियाहों की गठरी

धरी रह गई मुंसिफ़-ए-दिल के आगे
बयानों की गठरी गवाहों की गठरी

न उगली ही जाए न निगले बने है
गले में फँसी एक आहों की गठरी

ये सूखी हुई फ़स्ल-ए-ग़म जी उठेगी
अगर खुल गई इन निगाहों की गठरी

उठेंगी किसी रोज़ सैलाब बन कर
ये आबादियाँ हैं तबाहों की गठरी

मिरी सीधी सादी सी बातों पे मत जा
मिरी ज़ात है कज-कुलाहों की गठरी

  - Bakul Dev

Bahana Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bakul Dev

As you were reading Shayari by Bakul Dev

Similar Writers

our suggestion based on Bakul Dev

Similar Moods

As you were reading Bahana Shayari Shayari