mere kuchh bhi kahe ko kaatta hai
vo apne daayere ko kaatta hai
main is bazaar ke qaabil nahin hoon
yahan khota khare ko kaatta hai
udaas aankhen pehanti hain hasi ko
phir aansu qahqahe ko kaatta hai
na mujh ko hain qubool apni khataayein
na vo apne likhe ko kaatta hai
tavajjoh chahta hai gham puraana
so rah rah kar naye ko kaatta hai
wahi aansu wahi maazi ke qisse
jise dekho kate ko kaatta hai
मिरे कुछ भी कहे को काटता है
वो अपने दाएरे को काटता है
मैं इस बाज़ार के क़ाबिल नहीं हूँ
यहाँ खोटा खरे को काटता है
उदास आँखें पहनती हैं हँसी को
फिर आँसू क़हक़हे को काटता है
न मुझ को हैं क़ुबूल अपनी ख़ताएँ
न वो अपने लिखे को काटता है
तवज्जोह चाहता है ग़म पुराना
सो रह रह कर नए को काटता है
वही आँसू वही माज़ी के क़िस्से
जिसे देखो कटे को काटता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bakul Dev
our suggestion based on Bakul Dev
As you were reading Mood off Shayari Shayari